jaisā tum chāhoge vaisā nahīñ hone vaalā
varna hone ko yahāñ kyā nahīñ hone vaalā
muqtadir ho to ġharīboñ se jo chāho le lo
izzat-e-nafs kā saudā nahīñ hone vaalā
dil ye kahtā hai kisī ko bhī na lā ḳhātir meñ
aql kahtī hai ki achchhā nahīñ hone vaalā
amn parchār talak Thiik sahī lekin amn
tum ko lagtā hai ki hogā nahīñ hone vaalā
zar ke mīzān meñ har shaḳhs ko kyā tolte ho
har bashar to sag-e-duniyā nahīñ hone vaalā
merā chehra hai mire qalb kā akkās 'naqīb'
merā chehra tirā chehra nahīñ hone vaalā