hai lekin ajnabī aisā nahīñ hai
vo chehra jo abhī dekhā nahīñ hai
bahar-sūrat hai har sūrat izāfī
nazar aatā hai jo vaisā nahīñ hai
ise kahte haiñ andoh-e-ma.ānī
lab-e-naġhma gul-e-naġhma nahīñ hai
lahū meñ mere gardish kar rahā hai
abhī vo harf jo likkhā nahīñ hai
hujūm-e-tishnagāñ hai aur dariyā
samajhtā hai koī pyāsā nahīñ hai
ajab merā qabīla hai ki jis meñ
koī mere qabīle kā nahīñ hai
jahāñ tum ho vahāñ saaya hai merā
jahāñ maiñ huuñ vahāñ saaya nahīñ hai
sar-e-dāmān-e-sahrā khil rahā hai
magar vo phuul jo merā nahīñ hai
mujhe vo shaḳhs zinda kar gayā hai
jise ḳhud apnā andāza nahīñ hai
mohabbat meñ 'rasā' khoyā hī kyā thā
jo ye kahte ki kuchh paayā nahīñ hai