haath meñ ḳhanjar aa saktā hai
yā phir sāġhar aa saktā hai
āñkheñ zaḳhmī ho saktī haiñ
zarra uḌ kar aa saktā hai
chhat ke uupar sone vaale
sūraj sar par aa saktā hai
ḳhvāb meñ aane vaalā ik din
ḳhvāb se bāhar aa saktā hai
kaalā jaadū karne vaalā
mash.al le kar aa saktā hai
saare manzar chhup sakte haiñ
aisā manzar aa saktā hai
shāyad koī aane vaalā
lamha behtar aa saktā hai
ghar kā rasta bhūlne vaalā
chaurāhe par aa saktā hai
miTTī hijrat kar saktī hai
dariyā chal kar aa saktā hai