koī ta.amīr kī sūrat nikālo
koī taaza binā-e-ishq Daalo
bulātī haiñ tumheñ yādeñ purānī
charāġh-e-raftagāñ fursat nikālo
mujhe chehroñ se ḳhauf aane lagā hai
mire kamre se tasvīreñ haTā lo
ye dariyā hai guzar jaanā hai is ko
musāfir ho tum apnā rāsta lo
kahāñ ab vo libās-e-vaz.a-dārī
bahut jaano agar ġhurbat chhupā lo
vafā qīmat nahīñ jo lauT aa.e
tum apnā az-sar-e-nau jā.eza lo
nahīñ āzār-e-jāñ koī to mirzā
kisī dīvār kā saaya uThā lo