Rasa Chughtai

tere nazdik aa kar sochta hun

Rasa Chughtai

Jaipur, Rajasthan, India

1928-2018
tire nazdīk aa kar sochtā huuñ
maiñ zinda thā ki ab zinda huā huuñ
jin āñkhoñ se mujhe tum dekhte ho
maiñ un āñkhoñ se duniyā dekhtā huuñ
ḳhudā jaane mirī gaThrī meñ kyā hai
na jaane kyuuñ uThā.e phir rahā huuñ
ye koī aur hai ai aks-e-dariyā
maiñ apne aks ko pahchāntā huuñ
na aadam hai na ādam-zād koī
kin āvāzoñ se sar Takrā rahā huuñ
mujhe is bhiiḌ meñ lagtā hai aisā
ki maiñ ḳhud se bichhaḌ ke rah gayā huuñ
jise samjhā nahīñ shāyad kisī ne
maiñ apne ahd kā vo sāneha huuñ
na jaane kyuuñ ye sāñseñ chal rahī haiñ
maiñ apnī zindagī to jī chukā huuñ
jahāñ mauj-e-havādis chāhe le jaa.e
ḳhudā huuñ maiñ na koī nāḳhudā huuñ
junūñ kaisā kahāñ kā ishq sāhab
maiñ apne aap hī meñ mubtilā huuñ
nahīñ kuchh dosh us meñ āsmāñ kā
maiñ ḳhud hī apnī nazroñ se girā huuñ
tarāre bhar rahā hai vaqt yā rab
ki maiñ hī chalte chalte ruk gayā huuñ
vo pahroñ ā.īna kyuuñ dekhtā hai
magar ye baat maiñ kyuuñ sochtā huuñ
agar ye mahfil-e-bint-e-inab hai
to maiñ aisā kahāñ kā pārsā huuñ
ġham-e-andesha-hā-e-zindagī kyā
tapish se āgahī kī jal rahā huuñ
abhī ye bhī kahāñ jaanā ki 'mirzā'
maiñ kyā huuñ kaun huuñ kyā kar rahā huuñ
Top Urdushayar.com