mohabbat ḳhabt hai yā vasvasa hai
magar apnī jagah ye vāqi.a hai
jise ham vāhima samjhe hue haiñ
vo saaya bhī tirī dīvār kā hai
makāñ sargoshiyoñ se gūñjte haiñ
añdherā rauzanoñ se jhāñktā hai
dar o dīvār chup sādhe hue haiñ
faqat ik ālam-e-hū boltā hai
mirī āñkhoñ pe ainak dūsrī hai
ki ye tasvīr kā ruḳh dūsrā hai
sunā hai Dūbne vaale ne pahle
kisī kā naam sāhil par likhā hai
guzar kis kā huā hai jo abhī tak
do-ālam ā.ina-bardār sā hai
ye duniyā miT ga.ī hotī kabhī kī
magar ik naam aisā aa gayā hai
mohabbat hai 'rasā' merī ibādat
ye merā dil mirā dast-e-duā hai