Rasa Chughtai

raat humne jahan basar ki hai

Rasa Chughtai

Jaipur, Rajasthan, India

1928-2018
raat ham ne jahāñ basar kī hai
ye kahānī usī shajar kī hai
ye sitāre yahāñ kahāñ se aa.e
ye to dahlīz mere ghar kī hai
niiñd kyā kījiye ki ā.ankhoñ meñ
ik na.ī jañg ḳhair o shar kī hai
mere kachche makān ke andar
aaj taqrīb chashm-e-tar kī hai
hijr kī shab guzar hī jā.egī
ye udāsī to umr bhar kī hai
ishq apnī jagah magar ham ne
muntaḳhab aur hī Dagar kī hai
uTh rahā hai dhuāñ mire ghar meñ
aag dīvār se udhar kī hai
ham ne apne vajūd kī chādar
tañg apne gumān par kī hai
vo sitāra-shanās aisā thā
yā kisī ne use ḳhabar kī hai
jā rahe ho kidhar 'rasā' mirzā
dekhte ho havā kidhar kī hai
Top Urdushayar.com