jab tak daur-e-jām chalegā
saaqī terā naam chalegā
mandir meñ zunnār chalegī
ka.abe meñ ehrām chalegā
jogī kā sanjog nahīñ to
suufī kā ilhām chalegā
ziina ziina un zulfoñ kā
fitna sū-e-bām chalegā
raste sau e.ajāz kareñge
jab vo sarv-andām chalegā
sannāTe bisrām kareñge
bastī meñ kohrām chalegā
kab tak ye din raat chaleñge
kab tak ye ib.hām chalegā
kab tak lab ḳhāmosh raheñge
kab tak ye hañgām chalegā
kyā merī tadbīr chalegī
kyā merā iqdām chalegā
jab tak sar pe dhuup khaḌī hai
saaya be-ārām chalegā
koī narm havā kā jhoñkā
sub.h nahīñ to shaam chalegā
aise kaise baat banegī
aise kaise kaam chalegā
duniyā kā ye gorakh dhandā
kaise be-auhām chalegā