ġhamoñ ke añdheroñ meñ ġharqāb huuñ maiñ
amāvas kā bikhrā huā ḳhvāb huuñ maiñ
mire naam se hai zamāne ko nafrat
ki pyāle meñ hastī ke zahrāb huuñ maiñ
jamī hai umīdoñ pe hirmāñ kī kaa.ī
ki sahrā kā ik ḳhushk tālāb huuñ maiñ
qalam-band haiñ jis meñ rūhoñ ke qisse
kitāb-e-zamāna kā vo baab huuñ maiñ
paḌā hai jo khaa.ī meñ tārīkiyoñ kī
murādoñ kā vo naḳhl-e-shādāb huuñ maiñ
tujhe ziist kī har ḳhushī ho mayassar
mirā ġham na kar shād-o-shādāb huuñ maiñ
ta.āruf mirā kyā hai pūchho na 'parkāsh'
vafā naam hai aur nāyāb huuñ maiñ