is se pahle nazar nahīñ aayā
is tarah chāñd kā ye haalā mujhe
aadmī kis kamāl kā hogā
jis ne tasvīr se nikālā mujhe
maiñ tujhe aañkh bhar ke dekh sakūñ
itnā kaafī hai bas ujālā mujhe
us ne manzar badal diyā yaksar
chāhiye thā zarā sambhālā mujhe
aur kuchh yuuñ huā ki bachchoñ ne
chhīnā jhapTī meñ toḌ Daalā mujhe
yaad haiñ aaj bhī 'rasā' vo haath
aur roTī kā vo nivāla mujhe