kuchh na kuchh sochte rahā kiije
āsmāñ dekhte rahā kiije
chār-dīvārī-e-anāsir meñ
kūdte-phāñdte rahā kiije
is tahayyur ke kār-ḳhāne meñ
uñgliyāñ kāTte rahā kiije
khiḌkiyāñ be-sabab nahīñ hotīñ
tākte-jhāñkte rahā kiije
rāste ḳhvāb bhī dikhāte haiñ
niiñd meñ jāgte rahā kiije
fasl aisī nahīñ javānī kī
dekhte-bhālte rahā kiije
ā.īne be-jahat nahīñ hote
aks pahchānte rahā kiije
zindagī is tarah nahīñ kaTtī
faqat andāzte rahā kiije
nā-sipāsān-e-ilm ke sar pe
pagḌiyāñ bāñdhte rahā kiije