har ik darvesh kā qissa alag hai
magar tarz-e-bayāñ apnā alag hai
ġhanīmat hai baham mil baiThnā bhī
agarche vasl kā lamha alag hai
mile the kab jo ham ab phir mileñge
hamārā aap kā rasta alag hai
ibārat hai shu.ūr-e-zindagī se
na ye duniyā na vo duniyā alag hai
nahīñ hai aur vābasta hai sab se
hamāre dard kā rishta alag hai