zindagī ke sarāb bhī dekhūñ
niind aa.e to ḳhvāb bhī dekhūñ
raat kāTūñ kisī ḳharābe meñ
muñh andhere gulāb bhī dekhūñ
harf-e-tāza varaq varaq likkhūñ
saada dil kī kitāb bhī dekhūñ
Duub jā.ūñ kisī samundar meñ
phir jazīroñ ke ḳhvāb bhī dekhūñ
zindagī meñ himāqateñ bhī karūñ
us kā phir sadd-e-bāb bhī dekhūñ
aaj dil kī bayāz meñ likh kar
lafz ḳhāna-ḳharāb bhī dekhūñ
pyaas dil kī bujhā.ūñ āñkhoñ se
raqs karte habāb bhī dekhūñ