Farooq Engineer

subh ka dhoka hua hai sham par

Farooq Engineer

Shekhawati, Rajasthan, India

1960
sub.h kā dhokā huā hai shaam par
chāñd ko dekhā achānak baam par
juz mire sūraj parinde aadmī
sab nikal jaate haiñ apne kaam par
bāryābī ke liye jaa.eñ magar
dil ThiThak jaatā hai pahle gaam par
par lage ḳhushbū ko tere zikr se
muskurā.e phuul tere naam par
be-zarūrat ghar se nikleñ aur phir
shai ḳharīdeñ koī mahñge daam par
ḳhāmushī achchhī hai lekin is qadar
kuchh to boleñ aap is kohrām par
ai junūñ ye jī meñ aatā hai kabhī
vaqf kar deñ ḳhud ko tere naam par
aañkh meñ 'fārūq' aañsū aa ga.e
kyā fasāna aa gayā anjām par
Top Urdushayar.com