ghar sulagtā sā hai aur jaltā huā sā shahr hai
zindagānī ke liye ab do-jahāñ kā qahr hai
jaao lekin surḳh sho.aloñ ke sivā pāoge kyā
sansanāte dasht meñ kaalī havā kā qahr hai
dil ye kyā jaane ki kyā shai hai harārat ḳhuun kī
jism kyā samjhe ki kaisī zindagī kī lahr hai
ai mohabbat maiñ tirī betābiyoñ ko kyā karūñ
baḌh ke chashm-e-yār se barham mizāj-e-dahr hai
bhar rahā huuñ kis sharāb-e-dard se jām-e-ġhazal
ruuh meñ kuchle hue jazbāt kī ik nahr hai
zindagī se bhaag kar 'parkāsh' maiñ jā.ūñ kahāñ
ghar ke bāhar qahr hai aur ghar ke andar zahr hai