ḳhush-nazar hai na ḳhush-ḳhayāl hai ye
aaj ke dīda-var kā haal hai ye
tum mire dil meñ kyuuñ nahīñ aate
shahr-e-ra.anā.ī-e-jamāl hai ye
mere chehre pe kuchh nahīñ tahrīr
sirf unvān-e-arz-e-hāl hai ye
vaj.h-e-nākāmī-e-vafā kyā hai
aap se āḳhirī savāl hai ye
chāhte bhī haiñ chāhte bhī nahīñ
dostī kī na.ī misāl hai ye
kaise sulgheñge kākul-e-daurāñ
kitnā uljhā huā savāl hai ye
kaun jaane uruuj kyā hogā
aadmī kā agar zavāl hai ye
DhūñDhtā hai na.ī na.ī uftād
dil-e-īzā-talab kā haal hai ye
is zamāne meñ pāk-dāmānī
amr mumkin nahīñ muhāl hai ye
ab koī aañkh nam nahīñ hotī
dil kī duniyā meñ ḳhushk saal hai ye