tamām raat bujheñge na mere ghar ke charāġh
ki ye charāġh haiñ ḳhūn-e-dil-o-jigar ke charāġh
in āñsuoñ ko sitāre salām karte haiñ
bujhā sako to bujhā do ye chashm-e-tar ke charāġh
huā na aisā charāġhāñ kabhī sar-e-maqtal
hatheliyoñ pe haiñ raushan burīda-sar ke charāġh
unhīñ pe chalne se manzil milegī ham-safaro
ye naqsh-e-pā haiñ kisī ke ki rahguzar ke charāġh
is anjuman meñ ujālā rahegā sadiyoñ tak
jalā rahā huuñ musalsal dil-o-nazar ke charāġh
ye lāl-qil.a ye dīvār-e-chīñ ye tāj-mahal
ye sab ke sab haiñ jalā.e hue bashar ke charāġh
'habāb' shahr-e-sabā meñ vo qumqumoñ kī bahār
galī galī meñ farozāñ the sīm-o-zar ke charāġh