aaj unheñ dekh liyā bazm meñ farzānoñ kī
ham ne tārīf sunī thī tire dīvānoñ kī
dīda-var silsial-e-ashk samajhte haiñ jise
kahkashāñ hai mire mahbūb ke ehsānoñ kī
tum ko aanā hai to aa jaao ujālā hai abhī
sham.eñ raushan haiñ mire ġham ke shabistānoñ kī
mo'tariz haiñ mirī dīvāna-vashī par vo log
jin ko dāman kī ḳhabar hai na garebānoñ kī
ham haiñ mai-ḳhāna-e-fitrat ke sharābī ham ko
na surāhī kī zarūrat hai na paimānoñ kī
hañs rahe ho to hañso aur hañso ḳhuub hañso
hālat-e-zār pe ham be-sar-o-sāmānoñ kī
ahd-e-hāzir ke na.e 'mīr' vahāñ hoñge 'habāb'
mujh ko mahfil meñ na le jaao suḳhan-dānoñ kī