Baqi Ahmad Puri

dasht-o-dariya ke ye us par kahan tak jati

Baqi Ahmad Puri

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1950
dasht-o-dariyā ke ye us paar kahāñ tak jaatī
ghar kī dīvār thī dīvār kahāñ tak jaatī
miT ga.ī hasrat-e-dīdār bhī rafta rafta
hijr meñ hasrat-e-dīdār kahāñ tak jaatī
thak ga.e hoñT tirā naam bhī lete lete
ek hī lafz kī takrār kahāñ tak jaatī
laaj rakhnā thī masīhā.ī kī ham ko varna
dekhte lazzat-e-āzār kahāñ tak jaatī
rāhbar us ko sarāboñ meñ liye phirte the
ḳhilqat-e-shahr thī bīmār kahāñ tak jaatī
har taraf husn ke bāzār lage the 'bāqī'
har taraf chashm-e-ḳharīdār kahāñ tak jaatī
Top Urdushayar.com