roz-e-vahshat hai mire shahr meñ vīrānī kī
ab koī baat nahīñ baat pareshānī kī
mere dariyā kabhī dariyā bhī huā karte the
ab bhī āvāz sī aatī hai mujhe paanī kī
ā.ina-ḳhāne ke bāhar vo mujhe pūchhte haiñ
ā.ina-ḳhāne meñ kyā baat thī hairānī kī
ab ġhazālāñ se kaho chhup ke kahīñ baiTh raheñ
aamad aamad hai kisī ġhūl-e-bayābānī kī
ham khule ghar ke makīnoñ kī yahī aadat hai
ham na darbān hue aur na darbānī kī
yaad kar lenā bahattar kī kahānī 'bāqī'
jañg chhiḌ jaa.e kisī vaqt agar paanī kī