yuuñ sitamgar nahīñ hote jānāñ
phuul patthar nahīñ hote jānāñ
kyuuñ mire dil se kahīñ jaate ho
ghar se be-ghar nahīñ hote jānāñ
vasl kī shab jo karam tum ne kiye
kyuuñ mukarrar nahīñ hote jānāñ
ham tumheñ but kī tarah pūjte haiñ
phir bhī kāfar nahīñ hote jānāñ
ġham ke dīpak nahīñ jalte jab tak
dil munavvar nahīñ hote jānāñ
ham to rahte haiñ tumhārī had meñ
had se bāhar nahīñ hote jānāñ
ek jaise haiñ ḳhushī ke lamhe
dukh barābar nahīñ hote jānāñ
is qadar ḳhuuñ na bahānā dil kā
dil samundar nahīñ hote jānāñ