Baqi Ahmad Puri

mujhse bichhaD ke wo bhi pareshan tha bahut

Baqi Ahmad Puri

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1950
mujh se bichhaḌ ke vo bhī pareshān thā bahut
jis kī nazar meñ kaam ye āsān thā bahut
sochā to be-ḳhulūs thiiñ sab us kī qurbateñ
jis ke baġhair ghar mirā vīrān thā bahut
be-ḳhvāb surḳh āñkhoñ ne sab kuchh batā diyā
kal raat dil meñ dard kā tūfān thā bahut
ye kyā kiyā ki pyaar kā iz.hār kar diyā
maiñ apnī is shikast pe hairān thā bahut
vahshat meñ kyuuñ kisī ke garebāñ ko dekhtā
mere liye to apnā garebān thā bahut
ab to koī tamannā hī 'bāqī' nahīñ rahī
ye shahr-e-ārzū kabhī gunjān thā bahut
Top Urdushayar.com