Baqi Ahmad Puri

udas baam hai dar kaTne ko aata hai

Baqi Ahmad Puri

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1950
udaas baam hai dar kāTne ko aatā hai
tire baġhair ye ghar kāTne ko aatā hai
ḳhayāl-e-mausam-e-gul bhī nahīñ sitamgar ko
bahār meñ bhī shajar kāTne ko aatā hai
faqīh-e-shahr se insāf kaun māñgegā
faqīh-e-shahr to sar kāTne ko aatā hai
isī liye to kisānoñ ne khet chhoḌ diye
ki koī aur samar kāTne ko aatā hai
tire ḳhayāl kā aahū kahīñ bhī din meñ rahe
magar vo raat idhar kāTne ko aatā hai
kahā to thā ki hameñ is qadar bhī Dhiil na de
ab uḌ rahe haiñ to par kāTne ko aatā hai
ye kaam karte the pahle sagān-e-āvāra
bashar ko aaj bashar kāTne kā aatā hai
ye us kī raah nahīñ hai magar yūñhī 'bāqī'
vo mere saath safar kāTne ko aatā hai
Top Urdushayar.com