tū nahīñ to terā dard-e-jāñ-fazā mil jā.egā
zinda rahne kā koī to aasrā mil jā.egā
ai mirī chashm-e-pashemāñ apne aañsū rok le
raat kī tanhā.ī meñ rone se kyā mil jā.egā
zindagī ke kārvāñ par kuchh asar paḌtā nahīñ
ik musāfir kho gayā to dūsrā mil jā.egā
saarī bastī meñ faqat merā hī ghar hai be-charāġh
tīrgī se aap ko merā patā mil jā.egā
sochte rahne se to manzil kabhī miltī nahīñ
chalte jaao rāste se rāsta mil jā.egā
koī to merā bhī hogā muntazir 'bāqī' yahāñ
ik na ik to dil kā darvāza khulā mil jā.egā