maiñ ne har gaam use avval o āḳhir jaanā
lekin us ne mujhe lamhoñ kā musāfir jaanā
maiñ to thā us ke chaman-zār-e-mohabbat kā asiir
lekin us ne mujhe har shāḳh kā taa.ir jaanā
us ne iḳhlās ke maare hue dīvāne ko
ek āvāra o badnām sā shā.er jaanā
dar-haqīqat yahī e.azāz bahut hai 'kausar'
do ghaḌī us ne hameñ apnā ba-zāhir jaanā