Hasan Abbasi

raat-din pur-shor sahil jaisa manzar mujh mein tha

Hasan Abbasi

1971
rāt-din pur-shor sāhil jaisā manzar mujh meñ thā
tum se pahle maujzan koī samundar mujh meñ thā
aaj terī yaad se Takrā ke TukḌe ho gayā
vo jo sadiyoñ se luḌhaktā ek patthar mujh meñ thā
jīte-jī sahn-e-mazār-e-dost thā merā vajūd
ik shikasta sā piyāla aur kabūtar mujh meñ thā
maiñ kahāñ jaatā dikhāne apne andar kā kamāl
jo kabhī mujh par na khul paayā vo jauhar mujh meñ thā
DhūñDhtā phirtā huuñ us ko raat din ḳhud meñ 'hasan'
vo jo kal tak mujh se bhī ik shaḳhs behtar mujh meñ thā
Top Urdushayar.com