Hasan Abbasi

aadha jism sulagta aadha jal-thal hai

Hasan Abbasi

1971
aadhā jism sulagtā aadhā jal-thal hai
jaane kaisī dhuup hai kaisā bādal hai
ḳhvāboñ kā ik shahr hai merī āñkhoñ meñ
aur is shahr ke chāroñ jānib jañgal hai
mere saath nahīñ vo phir bhī jaane kyuuñ
us ke bichhaḌ jaane kā dhaḌkā pal pal hai
lamha lamha dhañstā jaatā hai manzar
shāyad merī aañkh meñ koī daldal hai
kaash use ho jaa.e ye ma.alūm 'hasan'
koī us ke pyaar meñ kitnā pāgal hai
Top Urdushayar.com