ḳhvāb apne mirī āñkhoñ ke havāle kar ke
tū kahāñ hai mujhe nīndoñ ke havāle kar ke
merā āñgan to ba-juz tere mahaktā hī nahīñ!
bārhā dekhā hai phūloñ ke havāle kar ke
ek gumnām jazīre meñ utar jā.ūñgā
apnī kashtī kabhī lahroñ ke havāle kar ke
kaisā sūraj thā ki phir lauT ke aayā hī nahīñ
chāñd taare mirī rātoñ ke havāle kar ke
mujh ko ma.alūm thā ik roz chalā jā.egā!
vo mirī umr ko yādoñ ke havāle kar ke
ghar kī vīrānī badal Daalī hai raunaq meñ 'hasan'
sahn kā peḌ parindoñ ke havāle kar ke