ḳhayāl-e-tark-e-ulfat ham-nashīno aa hī jaatā hai
vafūr-e-be-dilī meñ aadmī ghabrā hī jaatā hai
tabāhī kī ghaḌī shāyad zamāne par nahīñ aa.ī
abhī apne kiye par aadmī sharmā hī jaatā hai
nigāh-e-dost ke aage sipar laanā hai lā-hāsil
ye tīr-e-nīm-kash qalb o jigar barmā hī jaatā hai
nazar aatā nahīñ jis ko hujūm-e-shauq meñ kuchh bhī
fareb-e-rahnumā aksar vo rah-rau khā hī jaatā hai
nahīñ narmak-ḳhirāmī kārvāñ kī be-sabab 'kausar'
ḳhamoshī se jo uThtā hai vo bādal chhā hī jaatā hai