ham dil kī tabāhī kā ye sāmāñ na kareñge
is ghar meñ kisī aur ko mehmāñ na kareñge
ghabrā ke kabhī chaak girebāñ na kareñge
badnām tujhe fasl-e-bahārāñ na kareñge
mish.al ko charāġh-e-tah-e-dāmāñ na kareñge
jo daaġh haiñ siine meñ vo pinhāñ na kareñge
Takrā.eñge tere liye har mauj-e-balā se
sāhil pe khaḌe shikva-e-tūfāñ na kareñge
ai vo ki tirī yaad hai taskīn-e-dil-o-jāñ
hālāt hameñ kuchh bhī pareshāñ na kareñge
ye dard ki hai terī mohabbat kī amānat
mar jā.eñge is dard kā darmāñ na kareñge
ai dost mohabbat kī nazākat hai nazar meñ
ham tujh ko kisī taur pashīmāñ na kareñge
dil meñ hai tirī chaah to ai jān-e-tamannā
ham aur kisī chiiz kā armāñ na kareñge