Muqaddas Malik

kahan wo dard mein mahsus aah karte hain

Muqaddas Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1991
kahāñ vo dard meñ mahsūs aah karte haiñ
jo log zaḳhm ke risne pe vaah karte haiñ
tamām din kisī rahmat kā saaya rahtā hai
ham aadhī raat ko aisā gunāh karte haiñ
kisī guzishta zamāne kā dukh musallat hai
ki ab hañseñ bhī to ham log aah karte haiñ
jinheñ talab hai zamāne kī un ko hāsil ho
tire faqīr to bas terī chaah karte haiñ
maiñ sochtī huuñ ki phir jurm kis ke sar jaa.e
sabhī subūt use be-gunāh karte haiñ
nazar na pher 'muqaddas' gadā samajh ke hameñ
hamāre naam ke charche to shaah karte haiñ
Top Urdushayar.com