Muqaddas Malik

dekh tu kis qadar bhala dukh hai

Muqaddas Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1991
dekh tū kis qadar bhalā dukh hai
shaam hote hī aa gayā dukh hai
dil kī dīvār par Tañgī āñkheñ
dil kī dahlīz par jamā dukh hai
thak ke baiThī huuñ ek kone meñ
aur kamre meñ ghūmtā dukh hai
mujh se pūchho nā ḳhairiyat kā sabab
mere har dard kī davā dukh hai
zindagī to haqīqī ma.anoñ meñ
ḳhaak se ḳhaak par likhā dukh hai
yā mire dushmanoñ kā dukh hai mujhe
yā mirī āstīn kā dukh hai
haath kānoñ pe rakh liye maiñ ne
kis qadar chup meñ chīḳhtā dukh hai
mere hañsne pe phir 'muqaddas' jī
aa ki mujh par baras paḌā dukh hai
Top Urdushayar.com