umr guzrī hai to phir hosh ko rab yaad aayā
mar gayā shauq to phir is kā sabab yaad aayā
din kā āġhāz huā aañkh meñ aañsū aa.e
avval-e-shab kā ziyāñ āḳhir-e-shab yaad aayā
mujh ko to yaad nā thā us se judā ho jaanā
vo to batlāyā mujhe us ne to tab yaad aayā
ab ke shahroñ meñ bhī jañgal kī havā aisī chalī
maa.eñ bistar meñ chhupīñ bheḌiyā jab yaad aayā
merī tarah se vo yak-rañgī se tañg aayā to
din ko phir raat meñ Dhal jaane kā Dhab yaad aayā