Jagdeesh Parkash

tumhaara zikr meri dastan ban baiTha

Jagdeesh Parkash

Lahore, Punjab, Pakistan

1935
tumhārā zikr mirī dāstān ban baiThā
maiñ ek zarra thā aur āsmān ban baiThā
savāl karte haiñ rah-rah ke mujh se lail-o-nahār
maiñ apnī zaat se kyuuñ bad-gumān ban baiThā
vo jis ne mujh ko nazar bhar ke bhī nahīñ dekhā
vo shaḳhs mere fasāne kī jaan ban baiThā
ḳhayāl-e-nau se ulajhtā huā mirā ehsās
mirī ġhazal ke safar kā bayān ban baiThā
maiñ jism huuñ ki koī ruuh yā faqat ehsās
mirā vajūd ḳhud ik imtihān ban baiThā
kabhī jo us ko tasavvur meñ lā ke dekh liyā
har ik ḳhayāl mirā gulsitān ban baiThā
Top Urdushayar.com