Jagdeesh Parkash

mera wajud mere etibar jaisa hai

Jagdeesh Parkash

Lahore, Punjab, Pakistan

1935
mirā vajūd mire e'tibār jaisā hai
kabhī visāl kabhī intizār jaisā hai
mujhe to us kī masīhā.ī par thā naaz bahut
magar vo ḳhud hī baḌā be-qarār jaisā hai
mire zamīr pe hai bojh mere maazī kā
jo merī zaat pe ab tak udhār jaisā hai
ajiib ek muamma hai ishq bhī 'jagdīsh'
kabhī ye jiit kabhī sirf haar jaisā hai
yahāñ na koī irāda na ārzūeñ haiñ
mirā junūñ mire dil ke ġhubār jaisā hai
Top Urdushayar.com