Jagdeesh Parkash

tera KHayal mujhe is tarah pukarta hai

Jagdeesh Parkash

Lahore, Punjab, Pakistan

1935
tirā ḳhayāl mujhe is tarah pukārtā hai
ki mandiroñ meñ koī aartī utārtā hai
hiloreñ letī hai kuchh is tarah tirī yādeñ
nadī meñ jaise koī kashtiyāñ utārtā hai
ḳhamoshiyoñ ke bichhaune pe shab ke pichhle pahar
tirā ḳhayāl na.ī aarzū ubhārtā hai
tirī vafāoñ ke mausam badalte rahte haiñ
mirī vafā kā chaman bas tujhe nihārtā hai
kuchh āhaTeñ sī kahīñ ho rahī haiñ dil ke qarīb
koī to hai jo mirī bazm-e-jāñ sañvārtā hai
mujhe to apne aqīdoñ kī puḳhtagī hai aziiz
nahīñ ye ḳhauf koī sar mirā utārtā hai
Top Urdushayar.com