Jagdeesh Parkash

basarat kho gai hai raushni mein

Jagdeesh Parkash

Lahore, Punjab, Pakistan

1935
basārat kho ga.ī hai raushnī meñ
maza aane lagā hai tīrgī meñ
sarāboñ se sarāboñ ke safar tak
taḌap baḌhtī ga.ī hai tishnagī meñ
ye Derā jogiyoñ kā hai yahīñ par
milegā kho diyā jo zindagī meñ
muḳhātib tum se huuñ maiñ kuchh to bolo
kaTegī raat kyā bechārgī meñ
duā ke ba.ad patthar bhī mileñge
yahī to lutf hai dīvāngī meñ
tirī chāhat meñ jo kuchh pā liyā hai
nahīñ hāsil huā vo bandagī meñ
nahīñ pahchāntā mujh ko mirā ghar
banā huuñ ajnabī āvārgī meñ
Top Urdushayar.com