Jagdeesh Parkash

shahrahen nahin Dagar to hai

Jagdeesh Parkash

Lahore, Punjab, Pakistan

1935
shāhrāheñ nahīñ Dagar to hai
manzileñ nā sahī safar to hai
duur sahrā meñ ek chhoTā sā
be-samar hī sahī shajar to hai
muḳhtasar go hai dāstān mirī
us ke anjām meñ asar to hai
zulmat-e-shab girāñ hai ye maanā
raat ke ba.ad phir sahar to hai
haiñ darīche udaas dar vīrāñ
kuchh nahīñ phir bhī apnā ghar to hai
mere alfāz meñ kashish na sahī
merī āvāz meñ asar to hai
Top Urdushayar.com