bhiiḌ meñ gūñgoñ kī pahchān banāne ke liye
hausla chāhiye āvāz uThāne ke liye
diin insāñ kī bhalā.ī ke liye aayā thā
rah gayā ab ye faqat khāne-kamāne ke liye
pyaar ko bhūlnā āsān nahīñ hai sāhab
muddateñ lagtī haiñ ik shaḳhs bhulāne ke liye
roz-do-roz kā qissa na samajhiye is ko
ishq to hotā hai ik umr rulāne ke liye
maut ke baad mirī 'rāz' paḌhe jā.eñge
mere ash.ār mirī yaad dilāne ke liye