agarche maslahat-āmez hī hai
kaḌe lahje se behtar ḳhāmushī hai
nazar kī pyaas to nazroñ se pūchho
haiñ zer-e-āb phir bhī tishnagī hai
vahī chhūte haiñ aksar āsmāñ ko
jabīñ jin kī zamīnoñ par jhukī hai
varaq āhistagī se kholiyegā
bahut ḳhasta kitāb-e-zindagī hai
marāsim pahle bhī achchhe nahīñ the
magar ab to diloñ meñ be-dilī hai
mirī bechārgī par hañs rahā hai
ye merā dost hai yā ajnabī hai
tirī sargoshiyoñ kā ye asar hai
anā maiñ rach ga.ī ik naġhmagī hai