Nafeesa Sultana

nazar se jis ki ab mastur hun main

Nafeesa Sultana

nazar se jis kī ab mastūr huuñ maiñ
usī kī yaad se ma.amūr huuñ maiñ
chaTānoñ kī tarah madd-e-muqābil
magar andar se chaknā-chūr huuñ maiñ
shab-e-zulmat nahīñ havvā kī beTī
ujālā huuñ sahar kā nuur huuñ maiñ
mohabbat kā taqāza hai muravvat
samajhnā ye nahīñ majbūr huuñ maiñ
vafā kā pyaar kā paikar huuñ lekin
jo ho sayyād to zambūr huuñ maiñ
havā le kar uḌī hai zard patte
chaman meñ nargis-e-ranjūr huuñ maiñ
nishāñ us kī jabīñ kā kah rahā hai
tajallī se jalā huuñ tuur huuñ maiñ
'anā' TuuTī faqat rusvā.iyoñ se
ḳhushāmad se to kosoñ duur huuñ maiñ
Top Urdushayar.com