aa ki chāhat vasl kī phir se baḌī pur-zor hai
aa ki dil meñ hasratoñ ne phir machāyā shor hai
aa ki ab to duur tak ḳhushbū kī chādar bichh ga.ī
aa ki ruḳh bād-e-sabā kā apne ghar kī or hai
aa ki phir se chāñd par dilkash javānī aa ga.ī
aa ki phir se āj-kal añgḌā.iyoñ kā zor hai
aa ki kaliyoñ ke chaTaḳhne kā vo mausam aa gayā
aa ki dil meñ dhaḌkanoñ kā ik anokhā shor hai
aa ki jugnū kar rahe rātoñ meñ tīkhī raushnī
aa ki phir se raqs meñ kaalī ghaTā ghanghor hai
aa ki phir bādal tire aane kī dete haiñ ḳhabar
aa ki phir ab mastiyoñ meñ apne man kā mor hai
aa ki ab to dam bhī hai jaise laboñ tak aa gayā
aa ki tere haath meñ ab zindagī kī Dor hai
aa ki mausam kā asar 'āzim' pe ab hone lagā
aa ki tāqat zabt kī ab ho chalī kamzor hai