chand lamhoñ ke liye ek mulāqāt rahī
phir na vo tū na vo maiñ aur na vo raat rahī
kurra-e-arz ne dekhā hī na thā vo ḳhurshīd
jis kī gardish meñ shab o roz mirī zaat rahī
ab to har shaḳhs ujāloñ meñ khaḌā hai uryāñ
kaun sī shakl pas-e-parda-e-zulmāt rahī
sard-mehrī mire lahje meñ bhī hogī lekin
tujh meñ ḳhud bhī to na pahlī sī koī baat rahī
hāl-e-dil us ko sunā kar hai bahut ḳhush 'kausar'
lekin ab soch zarā kyā tirī auqāt rahī