mirī yādeñ bhalā tum kis tarah dil se miTāoge
bhulā kar to zarā dekho mujhe kaise bhulāoge
mohabbat karne vaale dard meñ tanhā nahīñ hote
jo rūThoge kabhī mujh se to apnā dil dukhāoge
karoge yaad tum guzre zamānoñ kī sabhī bāteñ
kabhī itrā ke hañs doge kabhī aañsū bahāoge
guzar jaate haiñ jo lamhe kabhī vāpas nahīñ aate
to biite pal mohabbat ke kahāñ se le ke aaoge
judā apnoñ se ho kar TuuT jaatā hai koī kaise
jo bichhḌoge kabhī mujh se to ḳhud hī jaan jāoge
baḌhā loge agar tum fāsle mujh se kabhī 'āzim'
to rūdād-e-dil-e-nāshād phir kis ko sunāoge