Aazim Kohli

silsile sab ruk gae dil hath se jata raha

Aazim Kohli

silsile sab ruk ga.e dil haath se jaatā rahā
hijr kī dahlīz par ik dard lahrātā rahā
qalb kā dāman junūñ meñ bhī na chhoḌā aql ne
dhaḌkanoñ kī chaap sun kar mujh ko ḳhauf aatā rahā
mas.ala us kī anā kā thā ki shohrat kī talab
us kā har ehsān mujh par nekiyāñ Dhātā rahā
maiñ rahā be-ḳhvāb ḳhvāboñ ke tilismī jaal meñ
vo mirī nīndeñ churā kar loriyāñ gaatā rahā
sabr kī takrār thī josh o junūn-e-ishq se
zindagī bhar dil mujhe maiñ dil ko samjhātā rahā
roz aa kar merī khiḌkī meñ mire bachpan kā chāñd
rakh ke sar ik niim kī Tahnī pe so jaatā rahā
hijr ke bādal chhaTe jab dhuup chamkī ishq kī
vasl ke āñgan meñ bhañvrā gul pe mañDlātā rahā
zindagī bebāk ho kar tujh se aage baḌh ga.ī
aur 'āzim' tū lakīroñ par hī itrātā rahā
Top Urdushayar.com