duur hai manzil to kyā rasta to hai
ik nazar us ne mujhe dekhā to hai
chāñd hāthoñ meñ nahīñ to kyā huā
āsmāñ par hī sahī dikhtā to hai
ḳhush agar ġhairoñ meñ hai to ḳhush rahe
vo kahīñ bhī ho chalo achchhā to hai
kuchh nahīñ hai aur to ġham hī sahī
is bharī duniyā meñ kuchh apnā to hai
aaj vo yuuñ hī nahīñ mujh se ḳhafā
kuchh gila to hai koī shikvā to hai
kiyā bharosa us ke va.ade kā magar
dil ke ḳhush rakhne ko ik va.ada to hai
us ne rakkhā hai takalluf kā bharam
ab adāvat par koī parda to hai
aa rahā hai vo bhī āḳhir raah par
sun ke merā zikr kuchh kahtā to hai
dil nahīñ 'āzim' chalo jaañ hī sahī
ḳhair us ne mujh se kuchh māñgā to hai