Aazim Kohli

ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka

Aazim Kohli

ho sitam kaisā bhī ab hālāt kī shamshīr kā
vaqt badlegā kisī din ruḳh mirī tasvīr kā
jān-levā hai tumhārā be-niyāzī kā chalan
hashr dekhe hī banegā ab dil-e-dil-gīr kā
baiThtī hai kaun sī karvaT ye baazī ishq kī
gardishoñ ke haath meñ hai faisla taqdīr kā
kaun bāñdhegā mirī bikhrī huī ummīd ko
khul rahā hai ab to har halqa mirī zanjīr kā
lutf lete ho kamāñ se chhoḌ kar jis ko ab aap
kaash koī mujh se pūchhe kyā huā us tiir kā
reḳhta se ishq 'āzim'? vo bhī aise daur meñ
dekhnā kyā haal hotā hai tirī tahrīr kā
Top Urdushayar.com