jab kabhī tum merī jānib aaoge
mujh ko apnā muntazir hī pāoge
dekhnā kaise pighalte jāoge
jab mirī āġhosh meñ tum aaoge
gesu-e-pechāñ meñ mujh ko bāñdh kar
tum bhī ab bach kar kahāñ tak jāoge
hashr ke din kī to chhoḌo hashr par
umr bhar ye ḳhauf kyūñkar khāoge
vaqt 'āzim' jā ke phir aatā nahīñ
vaqt ko vāpas kahāñ se lāoge