Aazim Kohli

doston ki bazm mein saghar uThae jaenge

Aazim Kohli

dostoñ kī bazm meñ sāġhar uThā.e jā.eñge
chāñdnī rātoñ ke qisse phir sunā.e jā.eñge
aaj maqtal meñ lagā hai sar-phiroñ kā ik hujūm
phir kisī qātil ke jauhar āzmā.e jā.eñge
zikr phir guzre zamānoñ kā vahāñ chhiḌ jā.egā
vaqt ke chehre se phir parde uThā.e jā.eñge
chal paḌegā phir bayāñ ik chāñd se ruḳhsār kā
yaad phir zulfoñ ke pech-o-ḳham dilā.e jā.eñge
baat chal niklegī phir iqrār kī inkār kī
phir vahī bachpan ke bhūle giit gaa.e jā.eñge
yaad ā.eñge fasāne yuuñ to sab ko bazm meñ
kuchh kaheñge aur kuchh bas muskurā.e jā.eñge
jo añdhere DhūñDhte haiñ muñh chhupāne ke liye
raushnī ke rū-ba-rū ik din vo laa.e jā.eñge
maut ne har bazm kī sūrat badal Daalī yahāñ
rah ga.e kuchh yaar so vo bhī uThā.e jā.eñge
aa chaleñ 'āzim' purāne dostoñ ke darmiyāñ
yaad kī bastī meñ phir kuchh gul khilā.e jā.eñge
Top Urdushayar.com