ḳhayāl-e-yār kā jalva yahāñ bhī thā vahāñ bhī thā
zamīñ par paañv the mere nazar meñ āsmāñ bhī thā
diye raushan the har jānib añdherā thā magar dil meñ
bahut tanhā thā maiñ lekin sharīk-e-kārvāñ bhī thā
chune tinke bahut maiñ ne banāyā āshiyāñ apnā
azal se ik musāfir huuñ mujhe is kā gumāñ bhī thā
udhar jaanā bhī thā lāzim idhar majbūr thī sohnī
ghaḌā kachchā thā hāthoñ meñ udhar dariyā javāñ bhī thā
sabhī shāmil the yaaro yuuñ to gulshan kī tabāhī meñ
ab itnā saaf kyā kahiye ki un meñ bāġhbāñ bhī thā
mire har zaḳhm par ik dāstāñ thī us ke zulmoñ kī
mire ḳhūñ-bār dil par us ke hāthoñ kā nishāñ bhī thā
mukartā thā vo apne tiir se to ik taraf 'āzim'
udhar thāme hue ik haath meñ zālim kamāñ bhī thā